Hazrat Umar r.a ka qabool e Islam k waqiya


Hazoor saw ny aik din Allah pak say yeh dua ki kh ay Allah Umar bin Khattab r.a ky wajood say Islam ko izzat dy, Hazoor saw
ki dua ho aur qabool na ho? chunancha yha to dua huwi aur wahan hazat Umar r.a hazrat Muhammad saw ko qatal kar deny ki
gharz say ghar say nikly, ap ko rasty main aik Sahabi mily aur poocha Umar kahan jaaty ho, Umar r.a ny farmaya Muhammad saw
ko qatal kar dena chahte hoon, woh boly bhala tum aesa kis tarah kar sakty ho aur bani Hashim say dushmani mol lety ho, pehly zara apny
ghar ki khabar to lo apki behan Fatima binte Al Khattab aur behnoi Saeed bin Zaid dono husband and wife Muslim ho chuky hain, Umar Farooq r.a
ny yeh suna to farmaya to pehly me in dono ki khabar leta hu aur foran apni behan ky ghar ki taraf chaly gaye.
waha pohnch kr thori dair darwazy ky bahir say ghar walon ki awaz ko suna phir achanak ghar ky andar chaly gaye aur sister Fatima r.a say poocha yh kesi
awaz thi jo mene suni is waqt Fatima r.a ky ghar main baithy inka khadim in logon ko Surah Ta'aha suna raha tha woh umar r.a ko daikh kr foran aik kona main chup gaya,
Hazrat Umar r.a ky behnoi ny jab apko gazabnak daikha to boly Umar r.a ager hum haq per hon to phir bhi ap ham ko bura samjhain gy? is baat per hazrat Umar r.a ko aur ghusa aaya
aur apny behnoi ko dhaka diya aur do, chaar ghoonsy bhi maary.
Ap ki behan ny jab yeh halat daikhi to bhai aur shohar ko alag kiya, magar hazrat Umar r.a ny inko bhi mar kar inka chehra surkh ho gaya, phr kuch dair ap baith gaye aur achanak apki nazar
Quran ky page per pari jo behan ny takiya(pilow) ky neechy rakha tha ap ny farmaya yh mujhy dukhao apki behan ny farmaya isko sirf pak log hath laga sakty hain, is tarah Farooq-e-Azam r.a
ny apni behan ky bataye huwe tareeqa per Wazu kiya aur phir is saheefa ko hath main liya aur isko parhana shuru kiya  Qalam e Haq taseer ny apky dil ki taseer badal di ap ny issi waqt farmaya
mujhy Mhammad saw ky pass ly jao.
Hazrat Umar r.a ki guftagu sun kr in Sahabi ko jo apki behan aur behnoi ko Quran ki taleem dy rahy thy itminan huwa aur andar say nikal kar kaha Umar r.a apko basharat ho mene Rasool saw ko farmaty
huwe suna hy kh ap saw yue dua farmma rahy thy
"Ilahi Umar bin Khattab r.a ya Abu Jahal ky zarya Islam ko izaat dy"
apko mubarak ho Hazoor saw ki dua apky haq main qabool huwi.
isky baad hazrat Umar r.a Hazoor saw ki khidmat main haziri ko chaly, darwazy per hazrat Hamza r.a aur chand Sahaba khary thy in logon ny hazrat Umar r.a ko daikha to dar gaye, ap ki dehshat in per taari ho gai,
Hamza r.a ny kaha ager Allah Umar r.a ky sath bhalai chahte hy to isko Islam ki hidayat kary ga aur ager Khuda ny isky ilawa dosri baat cahhi to isko qatal ker dena hamary liye mushkil nahi hai.
Hazrat Muhammad saw ko hazat Umar r.a ky aany ki khabar huwi to Ap saw bahir tashreef laye aur inky kapry ko pakar kr farmaya,"umar" kiya tum ab bhi baaz na aao gy? aur phri Apsaw ny wohi dua farmayi,
"Ilahi Umar ky wajood say Islam ko izzat ata farma"
Jesy hi Ap saw ki zaban mubarak say yh kalmaat nikly, hazrat Umar r.a be shakhta pukar uthy.
"Me awahi deta hu Allah aik hy aur Muhammad saw Allah ky Rasool hain"
Hazrat Umar r.a ky ilane shahadat ka sunty hi tamam Sahaba karam ny zor say Allah o Akbar ka naara buland kiya yaha tak kh tamaam Makkah walon ny unki awaz sunni.

Hazrat Umar Farooq r.a Islam ky 2nd Khalifa hian, Rasool saw ky susar aur hazrat Ali r.a ky damad hain.
Radi Allah ho anhu ...

Post a Comment

3 Comments

Add Your Comments Here