Islamic History: The Life of Hazrat Imam Hussain A.S

The Life of  Hazrat Imam Hussain Bin Ali Bin Abi Talib Radi llahu Anhu

Introduction: Imam Hussain a.s - Hazrat Ali Aur Hazrat Fatimah r.a kay doosry baty hain,Ap say Hazoor s.a.w.w ko br inteha muhabbat thi.Ap s.a.w.w imam hussain ko kandhon per uthaty aur honton per bosa daty.
Birth: Imam Hussain a.s ki wiladat Imam Hassan a.s say 11 mah bad 3 shu'ban 4 hijri ko Madinah main huvi.
Surname and Titles: kuniyat Abu Abdullah aur alqab yeh hain, Sayed,Shabeer,Asgher
Children's: Ali Bin Hussain(Imam Zain-ul-A'abideen) Ali Akbar, Ali Asgher, aur batiyon kay nam yeh hain Bibi Sakeena,Bibi Fatimah, Bibi Zainab
Prophert PBUH Sayings About Imam Hussain a.s:
 • Hassan aur Hussain a.s Jannat key jawanon kay sardar hain (Mashku'wah)
 • Hussain mujh say hy aur Me Hussain say hoon jo Hussain say muhabbat kary Allah os say muhabbat kary Hussain meri awlad ki awlad hai (Tirmizi)
 • dunya aur akhirat kay phool Hassan aur Hussain hain (Riyaz-ul-nasrah)

Imam Hussain a.s In The Reign of Khulafay-e-Rashideen:

 
Abu Bakar, Umar, Usman, Ali
Khulafay e Rshideen
• Reign of Abu Bakar Siddique R.A: 
jab pehli bar Hazrat Abu Bakar r.a nay Hussain a.s ko dekha to farmaya Beta to ALi r.a ka hai lakin Soorat Nabi Ki jesi hai. jab khalifah bany to herah ki fatah kay bad jo mal-e-ghanimat aya os main say aik besh baha qeemat chader Hussain a.s ko tuhfa ki unhon nay ba khooshi qabool ki.
 • Reign of Umar Farooq R.A: Ameer ul Momineen Umar Bin Khattab r.a nay hassan aur hussain a.s kay liye Badri Sahaba kay baraber 5,5 hazaar wazeefa muqarrar kiya, Hazrat Umar r.a nay maday'en ki fatoohat kay mal-e-ghanimat main aik larki (Shah Jahan) jo bad main Sher Bano khlai imam hussain a.s ko atiya main di jin say Imam Zain ul A'abideen r.a peda huway jin say iimam hussain a.s ki nasal chali.
 • Reign of Usman Bin Affan R.A: Imam hussain a.s ki baiti Bibi Fatimah ka nikah Usman r.a kay poty Abdullah bin Umro bin Usman bin Affan r.a kay sath huwa,
Waqiya-e-Karbala: Safr-e-Karbala Main 72 afrad shamil thay jin main say 21 Ahl-e-Bait Thay,Ahl-e-Koofa nay 12000 khatoot imam hussain a.s ko bhejy kh Ap yaha A jain hum Ap ki bait karain gay,pehly Ap say Muslim bin Aqeel r.a ko koofah bheja lakin un ko waha qatal(Sheed) kar diya gaya, phir imam hussain a.s apny Ahl-e-bait kay sath khud koofah tashreef lay gaye, Imam Hussain .as jab koofah pohnchy to 30,000 Iraqiyon nau Ap kay hath per bai't ki lakin agly hi rooz Bai't karny walon nay Ap per talwar khenchi aur yazeed ki afwaj say mil ker imam hussain a.s ko be dardi kay sath Damishq jany wale rasty per Qatal ( Sheed) kar diya. (Inna Lillah-e-Wa in Elaih e rajioon)

hazrat imam hussain a.s srine iraq
Imam Hussain a.s Dome
Attributes and perfections: Imam Hussain a.s nay khandan-e-Nabuwat main perwarish pai thi es liye Ma'adan Fazal o Kamal bann gaye thy,Akabire Madinah Mushkil massail main un say rajoo kiya karty thy, aik martaba Abdullah bin Zubair r.a nay Ap say poocha kh qaidi ko reha karny ka farz kis per A'aed hota hai to Ap nay farmaya os per jis ki khatir woh Lara. Ibadat un ka ma'amool tha, Farz namaz kay ilawa bht sary nawafil bhi ada karty thy, aik riwayat main ata hai kh imam hussain a.s nay 25 Hujj piyadah kiya.
livelihood: Hazrat Umar Bin Khattab r.a nay Ap kay liye 5000 wazeefah mahana muqarrar farmaya tha jo Usman bin Affan r.a ki khilafat main bhi chalta raha, jab Ameer Muviah r.a ki dor-e-khilafat aya to unho nay 2 lakh salana muqarrar kiya (Imam Hassan a.s ki dast bardari kay bad)
inspirational quotes:
 ♥ Jald bazi nadani hai
 ♥ Sila rehmi ni'amat hai
 ♥ Narmi aqal mandi hai
 ♥ Imdad dosti hai
 ♥ Achy kam karty raho magar dil say

References: Hussain Bin Ali R.A Book, Mashku'wah, Tirmizi, Riyaz-ul-nasrah
©payamberislamic

Post a Comment

10 Comments

  1. shahadat ke waqt imam hussain ki umar kya thi

    ReplyDelete
  2. Imam Hussain k kitne bache the

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ali Zayn al-Abidin And Sakinah (Mother: Shahr Banu)
      Ali al-Akbar And Fatimah as-Sughra (Mother: Layla)
      Sukaynah And Ali al-Asghar (Mother: Rubab)

      Delete
    2. Ya ali madad bhai bibi Fatima sughra ki walda ka nam ume ishaq binte talha hai kindly correct

      Delete
  3. Salam,
    Bhai Imam Hussain R.A ki zoja mohtarma ka kia nam tha?

    ReplyDelete
    Replies
    1. 1, Shahrbanu 2,Umm Rubāb 3,Umm Laylā 4,Umme Ishaq

      Delete
  4. This is such a great resource that you are providing and you give it away for free. I love seeing blog that understand the value of providing a quality resource for free. imam Hussain

    ReplyDelete
  5. Jab pahli shadi hoyi mola Hussain ki jab shahrbanu or imam Hussain ki age kitni thi

    ReplyDelete

Add Your Comments Here