Hazrat Umar R.A : Fatah-e-Bait ul Muqadas


Fateh Bait ul Muqadas ka waqia:

Hazrat Umro bin al Aas r.a ny jab bait ul Muqadas ka muhasra kiya to Ulama e Nasara ny kaha kh tum log befaida takleef uthanty ho, tum bait ul muqadas ko fatah nahi kar sakty, fateh baitul muqadas ka hulya, os ki alamat hamary yahan likhi hain, ager tumhary imam main woh sab batian mojood hain to baghair larai ky ky hum baitul muqadas inky hawaly kar dain gy, is waqia ki khabar hazrat Umar Farooq r.a ko di gai, aur ap baitul muqadas ki taraf tashreef ly gaye.

Yeh waqia hamesha tarekh e aalam main golden words main likha jaye ga, kh hazrat Umar Farooq r.a ka zad e rah e safar is main JO aur chohary ky siwa kuch na tha, aik camel ap ky pass tha, jis per ap aur ap ka ghulam one by one sawar hoty thy, ap ky pewand lagy huwe thy.

Musalman jab ap ky isteqbal ko aaye aur ap ko is haal main daikha to sab ny israr kar ky ap ko umdah libas pehnaya, aur aik hourse per sawar kiya, chand qadam agy jany per ap ny farmaya mere nafs per iska bura asar parta hai, phir wohi phatta huwa peawand laga huwa kurta pehan liya, aur ghory say utar pary.

Romans ny is Arb o Ajam ky farmanrawa, is rohani badshah jis ky naam say tamam aalam main zalzala bapa huwa tha, daikha to kaha beshak fateh baitul muqadas yehi hai, aur darwaza ap ky liye khol diya gaya.

Reference: Shah Waliullah Muhadis Dehlavi


Comments